Tuesday, January 25, 2011

CHICKEN PIZZA


INGREDENTS

Sab se pehlye doo banane ke liye

flour=1/2 kilo
yeast(khmir)=1 t sp
namak=1/2 t sp
sugar=1/2 t sp
egg=1 adat
oil=2 t sp
milk=hasb-e-zarorat

flour main yeast,namak,sugar dal dein phir is main anda bhi dal dein ,or is ko milk se gund lein achi tarhan gundne ke bad is main oil dal dein or is ko 2 se 3 khante ke liye rakh dein take is doo ka double doo ho jaye.
chicken bone less=1 cup
kali mirch=1 t sp
namak=thora sa
shimlah mirch=1 cup kati hoi
onion=1 cup kate hoye
tomato catchup
pizza cheeze,
METHOD

sab se pehly ap ek friepan main 2 t sp oil dal dein phir is main chicken ko frie karen or sath main hi simla mirch,onion,kali mirch or namak dal dein thora sa frei ho jaye to utar lein,jo doo tyar hoa hay us ko oven ki plate main roti ki tarhan pehla lein or phir is ke upar tomato catchup lagaein or tyar kiya koa ameza bhi daal dein or pahir sara pehla dein or us ke upar cheez ko kat kar dal dein or oven main 180 degree par rakh dein 25 se 30 min ke liya sath sath check karte rehein aap ka pizza tyar.

0 comments:

RECIPES   © 2008. Template Recipes by Emporium Digital

TOP